Ek Waqt Aata Hai
Ek Waqt Aata Hai
Jab tu gaane sunta nahi, samajta hai
Uski bass dhun mei hi nahi,
ek ek lafz mei khoo jata hai.
Dil karta hai, unhi yaadon mei jeeta rahe
Par jaise taise tu sambhal jata hai,
Ek waqt Aata hai
Jab tu gaane sunta nahi samajta hai.
Yeh pyaar koi khitab nahi,
Jisse paane ke liye insaan bhagta hai
Yeh to nadaan dil hai janab
Kabhi Kabhi isse bhi rona aata hai
Ek Waqt Aata Hai
Ek Waqt Aata Hai.
Kehta hai "Kisi cheez ko agar dilse chaho, to puri kaynaat usse tumse milane ki koshish mei jutt jaati hai."
Yeh sab sirf filmo mei hota hai mohotarma,
Yeh haqeeqat ki jhindagi hai nahi hai koi khwab
Kyuki chahe kitni bhi koshish karle,
Nahi milega tujhe harr kyu ka jawab
Lekin, iss jawaab ko paane keliye,
Tu itna jut jata hai,
Ke aksar, khud hi nazaron mei tu girr jata hai!
Ek Waqt Aata Hai.
Karli ab toh khuda se bhi mannat
Ke, dikha de ab toh hume bhi thodisi jannat,
Tu he toh hai ab ek sahaara,
Kyuki jeena hai mujhe uss pal ko dobaara,
Par kar gaya aisa kuch tu
Ke, ab khuda mei bhi nahi manta hai,
Yeh dil sirf rona nahi,
Dimag ke saath rulana bhi janta hai.
Ek Waqt Aata Hai.
Par mei unme se nahi,
Jo kisi aur ko rulata hai,
Teri hasi, khushi aur tarakki
Ki toh yeh dil aaj bhi duaeen mangta hai.
Ek Waqt Aata hai.
Ek Waqt Aata Hai
Jab tu gaane sunta nahi, samajta hai
Uski bass dhun mei hi nahi,
ek ek lafz mei khoo jata hai.
Written by,
Cdt. Rtr. Swarad Hajarnis.
Rotaract Club of Thane East.
Comments
Post a Comment